WordPress Ko Hacking Se Protect Kaise Kare
Hello Friends, Agar aap WordPress user hai toh aap apne WordPress website ki security ko lekar serious hain? Kya aapne WordPress website ko secure karne ke liye aur Hackers se WordPress website ko protect karne ke liye koi WordPress protection use ki hai jo har WordPress user apne WordPress website ke liye use karte hai? WordPress Ko Hacking Se Protect Kaise Kare
Agar aapne apne WordPress ko abhi tak secure nahi kiya hai toh aap aaj hi apne WordPress website ko secure kar lijiye. Agar aap apne website ko secure nahi karte hai toh koi bhi Hackers kaabhi bhi aap ke WordPress website ko Hacked kar sakta hai, Kyu ki WordPress sites bahut easy se hacked ho jata hai.
How To Protect WordPress Website From Hackers
Don’t worry friends main aap loog ko pura details mein bataung aap apne “WordPress ko hackers se protect kaise kare” WordPress protect karne ke liye aap ko apne WordPress website par ek plugin ko Install kar ke Configure karna hoga. Plugin ka naam hai “Protect Your Admin”
About Protect Your Admin WordPress Plugin
“Protect Your Admin” Yeh WordPress plugin se aap apne WordPress website ko hackers se protect kar sakte hai. Yeh plugin aapka website ka by default ADMIN login URL ko change kar ke ek new custom ADMIN URL create kar deta hai, custom URL create hone se koi bhi hackers apke website ka ADMIN login ko hacked nahi kar sakta hai.
Normally saare WordPress side ka login URL hamesa default hi rhta hai for example (www.xyz.com/wp-admin) aur Admin login ka user name bhi hamesa default (admin) rhta hai. Isse hackers ko bahut easy hota hai WordPress sites ko hacked karne ke liye.
But (Protect Your Admin) plugin jaab aap ka by default ADMIN login URL ko change kar deta hai, toh hackers aapka ADMIN login ko access nahi kar sakte hai, Jisse aapka website hamesa protected rhega.
WordPress Website Ko Hacking Se Kaise Bachaye
Protect Your Admin Plugin Ko Configure Kaise Kare
Step 1: Plugin ko Configure karne ke liye apko apne WordPress ka ADMIN panel ko login karna hoga. Admin panel login ke baad aap ko PLUGIN mein ja kar (Protect Your Admin) yeh Plugin ko INSTALL karna hoga.

Step 2: Plugin INSTALL ke baad usse ACTIVE kare successfully active ho jane ke baad Plugin ka SETTINGS par click kariye Settings ke under “General Settings” show hoga, General Settings ko “ENABLE” kare aur WordPress ADMIN login ke liye jo bhi aap ko custom URL rakhna hai usse enter kar. Custom URL enter ke baad SAVE karna hai.
Please Note – Agar aap custom URL me for example (abcd123) enter kar ke Save karte hai toh apka WordPress website ka ADMIN login URL hoga – ( www.xyz.com/abcd123) phir aapka User name Password enter kar ke aap ADMIN panel ko login kar sakte hai.

Ab apka WordPress website protect ho gya hai. Ek baar aap apne new URL ko check kar ligiye URL properly work kar rha hai ki nahi ? Agar perfect work kar rha hai toh ab aap ka plugin ka setting configure ho gya hai.
Abhi aap New URL ko dhiyan se yaad rakhe, kyu ab aapka website new URL se hi login hoga. Aap apne new URL ko apne personal note paid par save kar ke rakh ligiye taki aap ko hamesa yaad rhe.
Also Read – Best Indian Web Hosting Company
WordPress Ko Hacking Se Protect Kaise Kare
Finally Friends main ummid kart hu ki aapko maine (WordPress Ko Hacking Se Protect Kaise Kare) isse sambandhit puri jankari de diya hai, agar aap ko koi bhi cheez nahi samajh aaya hai toh please mujhe comments kariye main aap ko zaroor help karunga.